
Hospital ki bhagam bhag aur dunya bhar ki formalities ke baad, Aryan apni nayi dunya ko lekar penthouse wapas aa gaya tha. Ghar mein wahi madham roshni thi, magar aaj fiza mein ek nayi khushbu thi ek nanhi si jaan ki masoomiyat aur unke mukammal parivaar ka ehsas.
Aryan ne Maya ko bade se king-size bed par naram takiyon ke sahare bitha diya. Maya ke chehre par thakan thi, magar unki aankhon mein wo chamak thi jo sirf ek maa ki hoti hai. Unki god mein wo nanha sa farishta tha, jo safed naram kapde mein lipta hua sukoon se so raha tha.


Write a comment ...