
Maya ka bukhar ab utar chuka tha, magar Aryan ki us din ki seva ne unke dil mein ek aisi jagah bana li thi jo lafzon mein bayaan karna mushkil tha. Wo ab pehle jaisi Maa nahi mehsoos kar rahi thin unhe lag raha tha jaise unhe koi naya maqsad mil gaya ho.
Agle din sham ko jab Aryan bahar se kuch zaroori saaman lekar lauta, toh ghar ka mahaul badla hua tha. Hall mein halki sughandhit mombattiyan jal rahi thin aur ek madham sa sangeet gunj raha tha.


Write a comment ...